Wednesday, June 17, 2015

wo jo main kabhi-kabhi , kuchh-kuchh yun hi barbarata hun



wo jo main kabhi-kabhi , kuchh-kuchh yun hi barbarata hun (Motafariqat-E-Sarwar)  - Bawole ne 2014 me bola hai ….

Sinf-e-Nazuk se hue hain yun talkh tajarbe Sarwar …..
Ab to Hooron ko, saqi-e-kausar ko bhi salam kar k guzar jaunga…


Mera Shaikh-o-Saadi "Nukkar ka chai wala" Hai
issi liye mere falsafe bare zamini hain ......

Ab jaake hue hum .... Waris-e-Meer
Zakhmi jigar aur Dil bekar hua hai .....

Puchho ho jo Tum humse rone ka sabab pyare...
hum kahe ko rote gar humse kaha jata...

Jumman, Tera tabib ... Dil ka mariz hai ...
Kya karega wo ... Na ab Meer Saheb hain , na wo attaar Zinda hai ....

Tum par nazar GAi to sababe zalzala Mila
Shola bayan na tumsa koi dusra Mila

Pareshani Bahut hai aur badhti jaa rahi hai din ba din .......
Zamaney Bhar Se Waada Kar Lia Kia?

Mirza ki dosti me ye Maine jaana ... .... Insaan aur machine me Bahut Mamuli farq Hota hai....

Tere Gham ko maine gin gin k rakkha hai .....
kisi gharib ki jori hui raqam ki tarah.....

Darvesh Main ikisvin Sadi ka Hun
So Facebook par Falsafa sunata Hun

Main Ghazal kabhi na kahta ...
Bas fut-fut k rooleta ....
Agar tumhen Ansuon ki zuban Samajh aati ....

Hum popular hain zamane me ..... Dard me , sabar par aur preshani se ...

Iss HOLI par kuchh aisa kamal ho jaye.... K chehre par rang ho na ho ....
Kushi se har chehra gulal ho jaye ....

Dhundho ge mulko mulko .... Milne ko nahi ... Nayab hain hum .....


Haar k baitho nahi pyare, haare..... Jaao


Karega yaad zamana zamane tak ........


siyane log sab kar rahe hain baat Haqeeqat ki....
tum khuab kyun nahi dekhte yaar .............

yahi ham nawa, yahi ham sukhan, yahi ham nishan, yahi hamwatan.
meri shayiri hi batayegi mera naam kya he pata he kya....

Jo aaye jiske dill me Bol le .... Hum kuchh na bolenge .,.

Aane waale naye sal ....... Istaqbal karta hun ........ Is bar main tum se kuchh zyada nahi balki kuchh kam chahte hain ......... Dard ki shidat me kami, kraah k zor me kami, ankhon k sailab ki rwani me kami, zakhmon ki ginti me kami, aah ki frawani me kami,........... Aur ye kami sirf mere liye nahi balki mere tamam doston k liye ......

Sab se thi behtar ghazal Sarwar ki....
Yaani, uske zakhm sab se behtar the ......

‘Bismil’ ki jagirdaari ka falsafa Ajeeb hai
Kal kah raha tha, main Mazdur aur wo ‘zamindaar’ sahib hain……

Ab ja kar meri mitti thikane lagi ………….

ye Nazam un zaleem logon ki nazr hai jinho ne khub jhum jhum kar gaya tha." Mera yaar bana hai dulha phul khile hain dil ke " ......
Hum to the
Hum to the bas dua go log
Hum ko ye
Hum ko ye kahan phasa gaye log
Hame hans kar
Hame hans kar dulha bana gaye log
Ham ko kaise
Ham ko kaise ghori chadha gaye log
Hume quazi
Hume quazi ki haami bhara gye log
Hamare hanth
Hamare hanth Biwi thama gaye log

Woh ilm main Aflatoon huay,
Woh sher main Tulsi daas huay,
Woh tees baras k hotey hi,
Woh BA, MA sab paas huay,
Par-
Tum Insha je ka naam na lo,
Insha je ............. hain?

AaJ ek Baat To Batao Mujhe...!!!
Zindagi Khwab Kyun Dikhati hai..??
Hairan hai qalam, kagaz aur Roshnaai .... Kis tarah tahrir karo ge Sarwar ..... Lafzon ne is qadar apne maane badal liye hain ....

Aaj phir ulajh baitha hai Sarwar khud se ....
Meer ko khatra hai Meer se .....

Andhiyon jaooo , ab karo aaram …………

Aagai hai Eid phir se rulane k waste..... Garib bachchon ko naye kapron ki chah me ....

Mujh se mere kaam ka paai paai hisaab lijiyega.
Hai mera maazi kya ? mujh se bas ye kabhi na poochiyega.
Main jo hun, ‘Sarwar Khan’ hun janaab, iska behad lihaaz kijiyega. !!

Main Bhi Bohat Ajeeb Hun, Itna Ajeeb Hun Ki Bas.....
Khud Ko Tbaah Kar Lunga... Aur Malaal Bhi Nahi karunga ....

wo mujh ko derse wafa suna raha hai….
kaash is zuban daraz ka muu noch le koi…..

Hum popular hain zamane me ..... Dard me , sabar par aur preshani se ..

............... Main To Bas Follow karta

Kahan ka Dil aur kaisa Dard-e-Dill.....
Sab Meer sahab bas baat banate the ...

Lo phir fasle baharan aagai ................. - fasle baharan me jhule, jharne,sair, sapaate ki baat mat karna .... Mujhe dapkti huai chhappar ki marammat karani hai abhi ......

Suna hai uske hanthon se har chiz fisal kar chur-chur ho jaati hai ....
Khuda khair kare ... Mera Dil uske hanth lag gaya hai ...

bas jiye jaraha hu ... Mano jine ki aadat si par gai hai ....

Kaam usse parne wala hai , nam jiska sare jahan me ....
Koi leta nahi stamgar kahe bina ...

Ye soch soch ke sharmindagi si hoti hai
Wo hukm dega jo fariyaad karne wala hai

Na Ab Ustad Hi Unsa Na Unsa Peer Ab Hoga !
Na Ab Ghalib koi hoga Na Meer Ab Hoga !!

Aaj Meer bhi aaram talab huae jaate hain………… so hume chhutti ki darkhuast dali hai …..

Kabhi be-adab nahi hote aap k alfaz...
Mohtram agar aap bhi urdu me baat karte ....

is vaqt to main ghar se nikalane na paa_uungaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaai le gayaa...

wo jhut bol raha tha bade saliqe se,
aetabar karna meri majburi thi .

Ye fikr nahi hajat hai meri ... Akhir Kya hogaya hai mere achhe logon ko …...

Aaj phir Suraj ko ugte dekha hai basti k purvi pichhwaare se ..... Bolo aaj bhi koi 'inqalab' hoga kya?


Chahta hun kuchh dun aap ko …….. aap na chahen phir bhi

Kahin dekha hai …. Hum sa …………

Aaj phir main un bastiyon me gaya tha .. jahan bachche to bahut the ... par bachpana kahin bhi nahi tha ...

Sarmaya jo kamaya hai ………. Saja saja kar rakhta hun …………. Hasraton ka meri shumaar nahi.............

Aap bahut sharif haiN aapne kya nahi kiya...........

Ajeeb marz e maasiyat haawi huai jazbaat par .... Shadi ki salgirah aur wo chulha funkti rahi ... Main bhi Toahfe me jalaawan kanti ke intazaam me juta raha ......

Jaraha hun chuttiyan manane Gaon apne…….
Wo khitta-e-jannat Nishan
Jahan ……..
Na zubandar ___ Na zubandaraz
Na Alhe Qalam ___ Na Noktacheen
Na Rahbar ____ Na Rahzan
Na Falasfi _____ Na Fitnagar
Magar kuchh hai wahan …..
Mohsin, Ahbaab, Daalan, Amrud, Apnapan, Sadgi……………………….. aur bahut kuchh

Yun to dars bahut hain par achanak ek baat yaad aagai…… ki usne koi sabaq be-sabab nahi chhora …. Qayda baghdadiya bhi pdhati thi MAA meri …to kapron par kaj-o-turpai bhi sikhaya mujhko..

Main mazdoor ka beta hun......Mazdoori mera pesha hai,,,,

tehzeeb kisko kehte hain koi mere ghar aa kar dekhe
aaj bhi mera jawan bhai mera sar dabaata hai ..

mujhe aata nahi hai Na-Mohtaram ko Mohtaram kehna…
dua karo .. qalam rahe .. khoon rage jaan rahe ... teri nazar rahe ..
wo sitamgar rahe.. sadar me aanch rahe .. dill issi tarah kabab rahe.. to sahabe samaat rahe
……….. areee aur kya …. main yun hi barbarata rahun ga Ghazal …

kush rahiye meri hum kalami se…… baat kya ki ----ye to hazir jawabi ho gai

ap hi ke charche hain,ap hi ki batain hain. ap hum se ache hain, ap ne sikhaya hai. mashale rah hamare liye,ap ki lagjishen. ap hi wo rahbar hain,jisne hame dobaya hai

Iqbal ke shaheeN sa jigar chahta hun
sahabe Meer ki nazar chahta hun

Mano... aaj maine Sadaf ko moti thhukte dekha ....aur saare ke saare sadaf is fel par aamada hain .... koi bataye wo aisa kyon kar rahe hain .... aakhir ye falsafa kya hai …..

main bunyad ka pathar tha ..... ek hadse ne muje sange mile bana dala ..

Shaikh mujhe roko mat haalat se, dard se, hamdardi se.
Ye werasat hum ne pai hai janabe Meer se

Maine use -------- aasteeN dee, jeb dee, daaman diyaa , ghar diya, aangan diyaa, shaamiyaana diya ..
Ussne Mujhe…….. Ghazal kaa fann diyaa........

Zarurat ne .. fikr-e- maas ne ... torr dala hai guroor-o-Ana ko
Na hoti koi majboori tou kya maza hota ....

Na Ab Ustad Hi Unsa Na Unsa Peer Ab Hoga !
Na Ab Ghalib koi hoga Na Meer Ab Hoga !!

Aslkm
Pichhle dino kissi kaam ke silsile me main patna gaya hua tha. Ussi mauqe par mujhe kuchh mofakir hazarat ki mahfil me baithne ka faiz haasil hua… main khamosh tha aur dekh raha tha ki wo mofakir hazarat ek Qawwali ki taiyari me had darja masroof the .. baat yun kar rahe the ki iss Qawwali me takhat bhi hum teen logon ko bichhani hai …. Qawwali ke kalamaat bhi hume hi adda karne honge .. aur had to ye ki jab Qawwali apne shabab par aayegi to HAAL bhi humhi ko aaye ga… khatam Qawwali par tammam tar lao lashkar ko samet ne ka kaam bhi hamara hi hoga …
Main puri tarah mutmaeen hun ki ye Qawwali kamiyab hogi .. koin ki main un teeno mofakir hazarat ko kafi qareeb se janta hun.. unki leyaqat ka haamil hun… aur sab se khub ye ki wo dilo jaan se iss Qawwali ko anjaam dene me lage hain … kaamiyaabi to maqsuud hai hi .. aur ye hazarat iss fun ke maahir hain .. ki ye.. in logon ne aisi Qawwali ka ehtamam kai dafa pahle bhi kiya hai …
Par mujhe fikr iss baat ki hai ki … iss tarah ki Qawwali ki rasam kitne dino chal paayegi… agar nai nasal iss Qawwali me pichhe baith kar ..aaaaaaaaa…. ki aawaz aur taliyan nahi bajaaengi .. to nai nasal ye Qawwali ka hunar nahi sikh paayengi … aur nahi iss hunar ko aage le jaa payenge … ek waqt aayega ki iss tarah ki Qawwali dekhne sunne ko nahi mile gi …


Unka Gham ...... jaaN ka Gham ........... jahaN ka Gham

Khuda kare ki na samajh sake ..... mere baad ki naslen .... mere zamane ki maslehaten ....

Itna Chhota pan Mere Bas Ka Nahi........ mujhe mere qad ki kamiz do ……

Dear Insaan ji,
Ab kuchh kaam kar insaano ka
chhoro kaam farishton ka
chhoro kaam shaitano ka
chhoro kaam darindon ka

Wo khafa acha laga hum ne khafa rehne diya……………..

ye to achha hai ki Dil sirf sunta hai.....
agar bolta to qayamant hoti ....

tum usko sunane jaate ho kissa is fitne ka ……. Malum hai wahi baitha baitha shararat kare hai ………

Gandhi jayanti me mashruf hai mohseen
halan k yome paidaish aaj mera bhi hai
Sab Se Deewana Tha Majnoo, Usse Bhi Deewane Ham....

sha'airee aaNsuoN kaa badal ho gayee…………….

saghar-o-meena,kham pite hain ...
aur khoon-e-jigar mera qalam pite hain..
tab jake ashaar sanwarte hani kahin ..


aye qalam khoon rage jaan jari kar …
aaj phir raqam karni hai Ghazal .

kis ki chashm-e-karam aaj kal ho gayee
dil se jo baat niklee, Ghazal ho gayee

marz jane, dawaa jane, shifa jane, khuda jane…

Taaveez hai koi radde Bala ka ???

Aaa aaj aazmale quate Dil
Tu shamshir ootha ....
Hum Ghazal khte hain ....

Badi aajeeb rawayat hai mere buzurgon ki
Ke pagdi ko sar se aazeez rakhna

Gham-e- jaan bhi Ghame Janaa bhi Ghame Dauraa bhi. ek dil k liye saman hain dunya bhar ke.

hushyari ka Taqaza tha kuch aur
Bekhudi kuch aur samjhati rahi

.. agar dekha jaye to hum umar me bade log jo farman jari karte hain hamare gharon men tiflan ke liye fatwe se kam haisyat nahi rakhta ... magar un tiflan sonch, chahat , khayalat, arzu ke liye jagah nahi hoti hai ........ jab takhlik e Ruh ke etbar se hum sab hum umar hain... sahi bat to ye hai Tifli ilmul nafshiyat par qadre maamuli fikr hopai hai ... hum sab ko sanjidgi se gaour karne ki darkar hai….

meri taraqiyon ki kahani me shamil raha hai tu ..... par soch raha hun ye sunaun kahan kahan se main

Ab kaha hoti hai gesu o rukhsar ki baten
Wahi jine k masale rozgar ki baten

Is daur me jina bhi ek ibadat hai har lamha yahan Quayamat hi
us par tera ye rukhapan ye to quayamat pe quayamat hai

Hum Se Thi Sab Bahaar Abhi Kal Ki Baat He.

ab dekhna Katputli ki chal badal jayegi…. In hathon me ek jadu hai

Mujhe achhe nahi lagte ye shaikh-o-brahaman